Sunday, February 9, 2014

ravings

is dil ke jharoke se ghurta hun tujhe,
mil jaaye kisi din tu, ye puchta hun usse,
apni khushi ka haar banake tujhe pehna du,
tere ghum ka kafan odh, tujhe khud main basa lu,
gurur nahi mujhe ki tujhe itna chahta hun,
par yakeen ye hain ki tujhe sabse jyaada chahta hun,
tere bataye kisi kone main reh lunga main,
har ghum har dard seh lunga main,
bekhabar hain tu, anjaan hain tu,
bata du tujhe par darr lagta hain,
main tere liye maut bhi seh lunga,
par tera ek aansun....

1 comment:

otaku meg said...

aye! translate man!